गुरुवार, 18 अप्रैल 2013

pag pag girta fir sambhlta hu main

pag pag girta fir sambhlta hu main, pag pag chalte huye rasta dhundta
hu main, na pata hai muje koi rasta aur na pta hai manzil ka, dosh du
to kise du, haalat se hara hua, apno se thukraya hua kamjor sa shakhs
hu main, kabhi zindagi chumti thi kadam  aur aaj maut bhi nahi badaati hai apne kadam, kabhi waqt tha aisa jab maine apno k liye kar
 
di kurbaan khushiya saari, aaj halat k haathon mili hai bas muje lachaari,
gerron k nahi apno k sitam ka shikaar hu main, ki mohbbat jisse maine
uska bhi thukraya hu main, waqt tha kabhi jab seene se lagate the wo
mujhe, aur aaj dur rahne ko kahte hain wo muje, puchhta khud se main ye sawal
hu, kya kisi ko apna kahna zurm tha mera, kya kisi ko sahara dena zurm
tha mera,
 kya kisi se dil lagana gunah tha mera,
jo chheen kar meri khushi muje zahan ne tanha chhod diya, 
bhula k
saari wo beeti huyi  baate muje tadpta chhod diya, 
aur aaj hu iss kadar bebas main,
 pag pag girta aur sambhlta hu main, pag pag girta fir sambhlta hu main, 
pag pag chalte huye rasta dhundtahu main, 
na pata hai muje koi rasta aur na pta hai manzil ka bas pag pag girta fir sambhlta hu main..
--
Thanks and Regards
 *****Archana*****

कोई टिप्पणी नहीं: