kya khata hui thi mujhse........
Note:
ye kahani ek sachhi ghatna par aadharit hai, iss kahani k paatron k
naam avam sthaan ko kisi vishesh kaaran ki wazah se hume badlna pada
hai, parantu isse iss kahani ki sachhai mein koi bhi fark nhi aaya hai,
kahani k paatron k naam avam sthaan ko humein yaha badalna pada iske
liye paathak kripya humein maaf kare kintu kahani ko pad kar iska lutf
avshaya uthaaye, dhanyawaad......
san
1969, apni zindagi ki aakhiri saanse ginti hui 70 saal ki Bhanwi ko
apni zindagi k aaj wo sab pal yaad aa rahe the jinhe waqt aur haalat ne
unhe yaad karne ka mauka bhi shayad nhi diya tha,kanpur k nazdik chhota
sa kasba hai jiska naam hai unnav, unnav mein paida hui Bhanwi apne
ghar mein sab ki laadli sabki chaheti thi, tezz swabhaav tha uska, aur
issi tez swabhaav ki wazah se hi uske ghar wale uski shaadi ki chinta
mein doobe rahte the, wo daur kuch aur tha jahan ladkiyon ko school
bhejna aur unhe padana ek gunaha samjha jata tha dharm k khilaaf mana
jata tha, par bhanwi iska virodh karti thi, wo aage padna chahti thi,
1911 Bhanwi k pita ne uska rishta Hardoi jile mein apni hi jaati k kisi
ladke se tay kar diya, ladka railway mein naukari karta tha, theek thaak
paise kamata tha, jab Bhanwi ki maa ko pata chala ki unki beti ki
shaadi Hardoi mein tay ho gayi hai, uski maa ne apne pati se shikaayat
ki " kyon aap meri laadli ki shaadi itnee door kara rahe ho, kaanpur k
saare ladke mar gaye hai kya, abhi humari beti ki umar hi kya hai, jara
tasalli se dhoondte to koi achha sa ghar war yaha hi mil jata, itnee
door wo chali jaygi to bhala hum usse kaise mil paynge, hum to taras hi
jaynge usko dekhne k liye", Bhanwi k pita ne kaha "tum to janti hi ho
humari beti ko, wo kaafi tezz tarrar hai, yaha par maine sab jagah ja
kar dekh liya, sabhi k yaha apni beti k rishte ki baat chala kar dekh
li, par sabhi ne ye keh kar mana kar diya ki humari beti unke yaha ki
bahu banne k layak nahi hai, na to usme humare riti riwazon k liye izzat
hai aur na koi haya, wo alhad hai, yaha se waha ghoomti rahit hai, aur
mohalle ki sabhi ladkiyon ko bhadkane ka kam karti hai, unhe padai k
liye usksati hai, school jane k liye kahti hai, uski inhi harkato se
kanpur mein uski shaadi nhi tay ho payi," bhanwi ki ma ne kaha " aap
jahan uska rishta tay kar k aaye hai kya unhe nahi pata ki humari beti
kaisi hai, kya apne unse chhipya iss baat ko," Bhanwi k pita ne kaha
"main jhoot bol kar apni beti ki shaadi nahi kar sakta, maine ladke
walon ko sab kuch sachh sachh bata diya hai, aur unhe iss baat se koi
fark nhi padta, wo khud ladkiyon ki shikhsa k paksh mein hai," ye sun
kar ma bahut khush hui Bhanwi ki, bahut jald uski shaadi ho gayi, shaadi
k baad sab kuch badal gaya Bhanwi ki zindagi mein jaise, uske pita ne
kaha tha ki uske sasural mein ladkiyon ki shikha par koi pratiband nhi
hai par yaha aa kar usne dekha ki uske sasural walon mein aur
hindustaniyon ki soch mein koi fark nhi hai, wo bas baahar se kahte hai
ki ladkion ko padana chahiye, unhe ladkon k barabar adhikaar dena
chahiye par sachhai to ye hai ki sachh iske ek dam ulta hai, shaadi k 2
saal baad bhanwi ne ek ladki ko janm diya, ladki ko dekh kar uski saas
ne sabse pahle usse tana maran shuru kar diya, bachhi k janm k baad na
to uski aur na uske bachhe ki theek se uske sasural walon ne dekhbhal
ki aur sirf 6 mahine mein hi Bhanwi ki bachhi ki maut ho gayi, iss
ghatna k baad kafi saal tak Bhanwi kisi bachhe ko jan na de saki to uske
sasural wale usse bhanjh bol kar usse pratadit karne lage, kisi bhi
shubh kaam mein uska jana pratibandhit tha, usse aise bahishkrit kar
diya gaya jaise wo koi achhoot ho, par Bhanwi k pati usse behad pyaar
karte the, wo aksar kaam k silsile mein ghar se baahar hi rahate the
isliye ghar k halaat k bare mein unhe kuch pata nhi tha, wo aadhunik
soch rakhne wale insaan the, ek raat Bhanwi se hui kisi galti k kaaran
usse ek kamre mein band kar diya gaya tha aur khaane pine tak ko kuch
bhi nhi diya gaya, kismat se uske pati ussi din apne ghar pahuche,
waha unhone apni patni ki ye halat dekhi aur turant usse waha se le kar
Palwal jahan wo naukri kar rahe the waha le aaye,
Palwal mein Bhanwi ne 1918 mein ek beti ko janm diya, aur 1920 mein
ek bete ko, par Bhanwi k dukhon ka ant kahan hone wala tha, bete k janm k
1 saal baad 2 judwa bachhon ko usne janm diya par wo bachhe kuch hi din
jinda rahe fir kisi agyaat bimari se unki maut ho gayi, Bhanwi toot
gayi, par uske pati ne usse sambhala, 1923 mein uske pati usse avam
donon bachhon ko mumbai le aaye, yaha k mahol ne Bhanwi k gam kuch had
tak kam kar diya, apni beti ko school mein dikhila dila diya, sach kuch
uski zindagi mein achha chalne laga par ek din achanak ek aisi khabar
usse mili jisne usse hila kar rakh diya.......
Bhanwi
ko pata chala ki uske pati k pett mein tumer(ghaaw) hai jiska koi ilaaz
nahi hai aur uske pati kuch hi dinon k mehmaan hai, Bhanwi k perro tale
to jaise zameen hi khisak gayi, wo sochne lagi uske pati k baad uske
donon bachhon aur uska kya hoga, ye samaaj ek vidhwa ko kaisi neechi
nazar se dekhta hai, log ek vidhwa ko apne pati ko khane wali ek daayan
samajhte hai, wo sochne lagi uske pati k baad uski beti ki shaadi bhi
nhi ho paygi, log uske beti ko abhaagi kahenge,
Bhanwi
k pati ne uski chinta samajh li thi, isiliye wo ek din Palwal chale
gaye bina apne patni se kuch kahe ki wo kyon aur kis se milne Palwal ja
rahe hain, jab wapas aaye to unhone Bhanwi ko bataya ki wo apni beti ki
shaadi tay kar aaye hain apne dost k bete k saath, ladka abhi padta hai
par wo log achhe khaase paise wale hain, unke koi beti nahi hai, wo apni
bahu ko beti ki tarah rakhnge, sir 2 bhai hai wo, chhota bhai to abhi
bahut chhota hai par jis ladke se unhone rishta tay kiya hai wo college
mein padta hai, pad likh kar usse bhi achhi naukri mil jaygi, humari
beti waha khush rahegi, Bhanwi bhi Bhaari mann se iss rishte k liye
taiyaar ho gayi, wo nhi chahti thi ki uske beti ki abhi shaadi ho kyon
ki uski ummar abhi sirf 8 saal thi par jaise haalat uski zindagi mein
bane the uss waqt wo mazboor thi, bahut jald usne apni beti ki shaadi
kar di, shadi k baad uski beti Agra chali gayi, kyon ki uske sasur ka tabadla
Agra ko ho gaya tha,
shadi
k baad jab Bhanwi ki Beti pahli baar usse milne aayi to Bhanwi ne
uske kuch gahne choron k darr se apne paas rakh liye aur kaha beti abhi
tum chhoti ho, ye gahne tumhe abhi nahi pahanne chahiye, jab tum badi ho
jaogi tab pahnna, tumhare sasur jab yaha tumhe lene aaynge tab main ye
gahne unhe de dungi aur kahungi ki jab tak tum badi na ho jaao tab tak
tumhe jyada gahane na dein pahnne k liye, par kismat se Bhanwi ki beti ko lene uske
sasur ki jagah unka damad aaya, aur damad k aane ki khushi mein Bhanwi
ne unke aane par unke swagat k liye jee jaan laga di par ek galti usse
jo hui uski saza usne zindagi bhar bhugti....
apni
beti ko vida karti waqt wo apni beti k gahne wapas karna bhool gayi,
jab uskee beti wapas sasural pahuchi to uski saas ne uski maa par apni
beti k gahne chori karne ka ilzaam laga diya aur iske saath hi kaha ki
aaj k baad wo apni ma se kabhi nhi milegi, Bhanwi ne bahut baar apni
beti se milne ki koshish ki, uske sasural walon se mafi mangi par unhone
uski ek na suni,
fir ek din uske pati ki tabiyat achhanak bahut kharab ho gayi, wo unhe
ilaaz k liye Jhansi le jane wali thi, wo chahti thi ek baar uske pati
apni beti ko dekh le kyon ki ab k baad wo usse kabhi nhi dekh paynge,
aur wo bhi wapas kabhi uss shahar mein nhi aaygi jahan uski beti rahti
hai, kyon ki wo nhi chahti thi ki uski wazah se uske beti ki shadi shuda
zindagi mein koi pareshaani aaye, wo aakhiri baar apni beti k ghar
pahuchi, apne pati ko saath lana chahti thi par unki tabiyat atyant
kharab hone ki wazah se unhe na la saki, par apne beti ko dekhne ki
aakhiri baar uski laalsa usse yaha tak kheech laayi, iske saath hi jo
uske maathe par kalank tha beti k gahne chori karne ka wo bhi dhona
chahti thi, wo apni beti k gahne saath laayi par apni beti k sasural
mein jane ki himmat na juta saki, par tabi usne dekha ki uski beti
khidki k paas beth kar apni baal sanwaar rahi hai, wo uske paas pahuchi,
uski beti khushi se chillana chahti thi par Bhanwi ne ishaare se mana kar diya,
bas apni beti ko wo ji bhar k dekhna chahti thi, uske liye jo wo
tohfe laayi thi usse dena chahti thi par ye wo pal tha jo Bhanwi chahti
thi kaash ye pal yahi thahar jaaye par waqt kahan thehrta hai, itne mein piche se
uski beti Bhoomi ki saas ki aawaz aayi "bahu badi derr lag gayi tuje
baal banate huye," ye kah kar wo andar aane lagi, Bhanwi samajh gayi
agar wo andar aayi to anarth ho jayga kyon ki uski beti Bhoomi ki saas
nhi chahti ki wo apni ma se kisi bhi tarah ka koi sampark rakhe, isliye
jaldi mein jo kuch apni beti k liye uphaar wo laayi thi wahi uss khidki
se usse dene lagi par jaise hi wo uske gahane usse lautaane lagi uski
saas anadar aa gayi aur Bhanwi darr k mare chhip gayi aur sabhi gahne
apni beti ko nhi lauta saki, bhari mann se usse apni beti se door uske gahne churane k kalank k saath hona
pada....
parantu iske baad bhi Bhanwi k dukhon ka ant kahan hone wala tha,
Jhansi mein ilaaz k dauran uske pati ki maut ho gayi, wo toot kar bikhar
gayi, koi sahara nhi dikh raha tha usse, apne bête k saath wo bas
Jhansi ki galiyon pagalon jaisi ghoomti thi, tabhi ek din uss par uski
beti Bhoomi k chacha sasur Hari Prasad ki nazar uss par padi, wo Jhansi
mein hi naukri karte the aur unki abhi tak shaadi bhi nhi hui thi, wo
Bhanwi ko apne ghar le aaye, unhone Bhanwi k saamne shaadi ka prastaav
rakha, Bhanwi iske liye taiyaar nahi hui, usne kaha “ aapse meri shaadi
kaise ho sakti hai, aap mere damad k sage chacha hai, agar humari
shaadi hui to log kya kahenge, ye samaj hume chain se jeene nhi dega, ye
sambhav nahi hai ki humari shadi ho, log kahenge samdhi ne samdhin se
shaadi kar li, sabhi hume neechi nazaron se dekhnege, aap ye baat bhool
jaiye ki humari shaadi ho sakti hai,” Hari Prasad ji bole “ kis samaj
ki tum baat kar rahi ho, jo ek vidhwa ko niche nazar se dekhta hai, usse
daayan keh kar bulata hai, har tarah se ye samaj usse dabata hai,
shoshan karta hai, ek akeli aurat ka sab faayada uthaana chahte hain, kis samaj ki tumhe parwah hai, rahi baat tumhari beti
k sasural walo ki, wo waise bhi tumhe galat hi samajte hai, tum par
aarop lagate hai apne beti k gahne churane ka, wo tumhe kabhi maaf nahi
karenge aur kar bhi diya to kya hua, tumhare bête ko to wo apne paas nhi
rakhenge, tumhe ab apne aur apne bête k bare mein sochna chahiye, main
yakin dilate hoon ki tumhare bête ko main apne bête ki tarah hi
rakhunga, behatar parwarish dunga avam pita ka pyaar dunga, shayad maine
abhi tak shaadi isliye nhi ki kyon ki tum hi meri jeevan saathi honi
thi, tum mujhse shaadi k liye haan keh do main poori duniya se lad
jaunga, waise bhi ab pariwartan ka daur hai, vidhwa vivah avam prem
vivah ko kanoon mazoori de chuka hai, hum shaadi k baad iss shehar se
door kisi aur shehar mein apni chhoti c duniya basa lenge jahan koi hume
nhi jaanta hoga, waha koi ye bolna wala nhi hoga ki samdhi ne samdhan
se shaadi ki hai, aur waha hum sukoon se apni zindagi jee sakenge,” Hari
ki baat sun kar Bhanwi apni doosri shaadi k liye maan gayi, waise bhi
usse kisi sahare ki jarurat thi jo usse Hari k roop mein mil raha tha, usse uski baate sachhi lagne lagi thi, iske saath hi
uske bête k bhavishya ka bhi sawal tha, unn donon ne Mandir mein vivah
kar liye avam humesha k liye Meeruth aa gaye…
sab
kuch theek chal raha tha, Bhanwi Hari k saath bahut khush thi, uske
bête Abhijit ko bhi pita ka pyaar avam achhi parwarich mil rahi thi,
Meeruth mein Bhanwi ne 2 betiyon ko janm diya, sab kuch achha chal raha
tha, par achaanak aakasmik hi uske pati Hari ki maut ho gayi, Bhanwi to
jaise toot kar bikhar c gayi, kuch din baad uske bête ko uske pita Hari ki jagah naukri
mil gayi,
Bête ko naukri mil jaane k baad Bhanwi ne socha ab iski shaadi kar deni
chahiye, usne bade dhoom dhaam se apne iklaute bête ki shaadi kar di,
par kuch din baad hi uski bahu ki kisi lailaaz bimari k kaaran maut ho
gayi,
Bhanwi apne bête ki doosri shaadi karna chahti thi par usne mana kar
diya, usne kaha ki jab tak uski behno ki shaadi nhi ho jaati ab wo
doosri shaadi nhi karega, kuch saalon baad uske beti Shakuntla ki shaadi
ek ache ghar mein tay ho gayi, uski shaadi uske sautele bhai ne badi
dhoom dhaam se karai, kuch din to theek raha par ek din Shakuntla k
sasural wale usse uske maayke chhod gaye, unhone kaha “pahle kyon nhi
bataya tumne ki iske ma ek vidhwa aurat thi aur jisne apne samdhi k
saath doosra vivah kiya tha, itne neech khaandan ki ladki ko hum apne ghar ki
bahu k roop mein nhi sweekar kar sakte, rakho isse apne paas aur hume
baksho,” Bhanwi par to jaise dukhon k baadal hi fat gaye ho , uski beti ne kaha “ ma jo aapne kiya uskee
saza to hume mil rahi hai, aapne aisa kyon kiya ma,” uske bhai ne uski
doosri shaadi ki baat kahi to Shakuntla ne mana kar diya aur humesha k
liye apne bhai k paas rahne ki khwaaish jatai, uska bhai maan gaya…
Kuch saal baad Bhanwi ki chhoti beti ka rishta tay ho gaya, uska jaha
rishta tay hua waha Bhanwi ne sab kuch sach sach bata diya tha ki ye
uski doosri shaadi k baad hui santan hai avam uski doosri shaadi uski
badi beti k chacha sasur k saath hui thi, par ladke walon ko ladki itnee
pasand aayi ki unhe koi fark hi nhi pada ki uske ma ki doosri shaadi
hui hai ya nhi, wo doosri shaadi ki santan hai ya nahi, Bhanwi ki sabse chhoti
beti ki shadi sadharan tareeke se hui, sab kuch theek raha, kuch saal
baad Bhanwi ne apne bête ki bhi doosri shaadi ki baat ki aur kaha ki ab
to bahne ki shaadi ho chuki hai ab apne bare mein soch, wo taiyaar ho
gaya, achhi c ladki se uskee bhi shaadi ho gayi…
Par shayad naseeb ko Bhanwi k yaha khushiyon ka aana pasand na tha, kuch mahne baad uski doosri bahu ki bhi maut ho gayi,
Bhanwi bhi ab apni kismat se haar chuki thi, wo marna chahti thi par
maut bhi usse apne paas nhi bula rahi thi, waqt ka pahiya chalta raha,
ek din fir se khushi ne uske ghar ka darwaza khatkataya, uske bête k
liye ek rishta aaya, sab kuch jante huye bhi ladki wale uske bête se
shaadi karna chahte the, ghar mein khushi ka mahol ban gaya, Bhanwi k
bête ki teesri saadi ho gayi, bahu bahut achhi thi, sabka bada khyaal
rakhti thi, shaadi k kuch saal baad jis khushkhabri ka intzaar tha sabko usne darwaze pe dastak di, Bhanwi dadi
banne wali thi, poora ghar khushi se jhoom utha, ek nana munna iss ghar
mein aane wala hai jo iss ghar mein ghooma karega, ye soch kar Bhanwi khushi se jhoom rahi thi..
Par naseeb se kaun lad saka hai aaj tak bhala, jis raat Bhanwi ek
pote ki Dadi bani ussi raat uski bahu ka kisi anjaan kaaran se dehaant ho gaya, logon ne sara
dosh Bhanwi par hi lagaya, kaha ussi ne kuch kar diya apni bahu ko, abhi
iss gam se wo ubar bhi nhi payi thi ki uski chhoti beti ko bhi uske
sasural wale uske yaha chhod gaye, unhone kaha ki tumhare khandan ki koi
izzat nhi hai, tumne apne bête ki 3 shadiya karai aur teeno bahuon ko
mar dala, tumne apne samdhi se shaadi ki, iss baat par log hume taana
marte hai, hum unki aur nhi sun sakte, isliye apni beti ko aap hi
sambhaliye,
Jis waqt wo log Bhanwi ki beti ko uske paas chhod kar gaye wo ma banne
wali thi, kuch din baad usne ek beti ko janm diya, uski sasural se
dekhne k liye koi nhi aaya sivaye uske pati k, wo apni patni k saath
avashya tha par apne pariwaar k dabaab k kaaran usne b apni patni ko
apne
saath rakhne mein asmarthata jatai,
Bhanwi k bête ne apni sauteli behano ko apne saath rakhne ka fesla kar liya tha
par ek shart par, aur wo ye rakhi ki wo dono uske bête ki aise hi dekhbaal
karengi jaise ek ma karti hai, unki iss ghar mein jagah sirf ek naukrani
ki hi hogi, Bhanwi ki betiya iss shart par maan gayi kyon ki iske siwa unke paas aur koi raasta bhi nhi tha aur na koi sahara tha, aur iss tarah unhone apne bhai k
ghar par ek naukrani ban kar zindagi bitane ka fesla kar liya..
Zindgai
ki aakhiri saanse ginti hui Bhanwi aaj bas ye soch rahi thi aakhir kya
gunah hua tha mujhse, aakhir kis baat ki mili ye saza mujhe, meri
betiyon ko ek naukrani ka jeevan bitana pad raha hai, badi beti ko to
pata bhi nahi ki uski ma aaj aakhiri saanse gin rahi hai, aakhir jeevan
mein maine kya galti kar di jiski saza maine zindagi bhar bhogi aur aaj
mere bachhe bhog rahe hai, kya meri wazah se hi mere bachhon ki
khushiyon mein grahan laga raha, ye hi
sochte sochte Bhanwi maut ki godd mein sada k liye so gayi aur ye sawal
chhod gayi ki aakhir kya khata hui thi mujhse……………
3 टिप्पणियां:
archu ji aapki ye prastuti bahut hi bhavpoorn hai kintu aap janti hain ki ye blog woman about man hai aur yahan aapne bhavi ke jeevan ka hi jikr kiya hai aap aage se yahan dhyan de aur purushon ke bare me nari ke hi vichar ya anubhav batayen .aur roman kee jagah hindi likhen blog par ''a'' par click kar aapkee prastutiyon se sabhi jud payenge .aabhar
बहुत अच्छी शुरुआत है
thanks shalini ji and tejwani ji
एक टिप्पणी भेजें