गुरुवार, 18 अप्रैल 2013

Ishwar Vaani.......Shrashti ka Satya.....Shoonya Kya hai (what is zeero??) *10*


priye paathak jaisa ki aap sabhi ne suna hoga ki shrishti ke nirmaan se poorva samasht jagat mein andhkaar avam shoonya vyaapt tha, aur issi shoonya se hi samasht shristi ki utpatti hui hai, par kya aap jaante hai ki ye shoonya kya tha aur isse samast shristhi ki utpatti kaise hui, priye shrotagan ye shoonya aur koi nahi shaakshaat Ishwar hai, aur inhee ki Ichha shakti se shamast shristi ka nirmaan hua, shrishti niraam se poorva samasht jagat mein shoonya viraajit tha iska pramaan dene ke liye hi Ishwar ne samasht Grah-Nakshatron ka aakar avam prakaar bhi shoonya "0" ka hi diya hai taaki maanav unhe dekh kar ye jaan sake samasht sharishti se poorva bhi shoonya hi viraajit tha aur iska ant bhi shoonya mein hi hoga, aur shrashti ek baar fir shoonya mein hi vileen ho jaaygi...


Ishwar kahte hain ki Aakashiye Divya Saagar bhi ussi Ishwariye Shoonya se utpann hua hai, arthaat srishti ki rachna hetu Shoonya Roopi Ishwar ne pahle uski rachna ki, uska bhi koi Shira vishaal Aakash mein viraajit nahi hai iska arth ye hai ki wo ho kar bhi nahi hai arthaat Shoonya se utpann ho kar wo bhi Shoonya Aakrati ka hi hai, tabhi praanimatra usse na to dekh sakta hai aur na hi usse pramanit kar sakta hai, usse sirf aur sirf Aadhyaatm dhwaara hi dekha ja sakta hai, mehsoos kiya ja sakta hai.


Priye Shrotagan, Ishwar ka vaastavik roop bhi ye hi hai shoonya arthaat "kuch nahi" arthaat jiska koi aakar nahi kintu bina aakar ke bhi wo khud mein poorna hai aur uske bina srashti mein kuch bhi sambhav nahi hai, jo bhotik na ho kar abhotik hai wo hi Shoonya hai kintu uske bina kuch bhi sambhav nhi hai,Shoonya arthaat jiska koi chhor ya fir Shira na ho, jaise Prithvi ya kisi bhi Grah-Nakshatra ka koi bhi Chhor nahi hai, jahan se hum chalna shuru karte hain wahi pe wapas laut aate hai ghoom fir kar ye prakriya Shoonya kahlaati hai, Shrashti bhi aisee hi hia, jahan se aur jaise shuru hui thi aakhir ghoom fir kar wahi waapas aayegi jaise humari Aatma uss Parmeshwar se hi Utpann hoti hai aur aakhir mein ussi mein vileen ho jaati hai ye prakriya hi Shoonya hai ki jahan se prarambh hota hai wahi pe uska ant, 

kintu iske bina sampoorn jagat ka nirmaan bhi sambhav nahi hai kyon ye khud mein sampoorn hai jaise jis tarah ganit mein shoonya 1 ke saath mil kar 10 banta hai ussi prakaar Ishwar issi shoonya se apne bhakton ki upaasna aur unke mann ki kalpana ke aadhar par apna roop avam aakar prapt karte hain, humari aatma bhi ye hi hai Shoonya jo jis shareer mein jaati hai wo hi humara janm avam aakar hota hai, jaise Barf ko jis aakar ke bartan mein jamaya jaata hai ussi aakar mein wo jam kar waisa hi roop prapt karti hai waise hi humari aatma jis shareer mein pravesh leti hai waisa hi roop aur vyavhaar karti hai....

Priye Shrotagan jaisa aatam na stree hoti hai na purush, na pashu hoti hai aur na pakshi, na keet hoti hai aur na koi jeev, na nadi hoti hai na samandar, na vraksh hoti hai aur na koi podh kintu jiss shareer mein ye pravesh leti hai aur waisa hi roop prapt karti hai waise hi Ishwar bhi na Devi aur na Devta hai, unka apna koi roop nahi hai, kintu jab hum unhe "Devi" ya "Mata" ke roop mein pukaarte hai tab wo ussi roop mein humare samaksh hote hai kintu jab hum unhe 'Devta" ya "Pita" roop mein pukaarte hain tab wo ussi roop mein humare samaksh hote hai,

ye satya hai ki Ishwar ne humare samakh apne prateek ke roop mein hume Mata aur Pita diye hain, jinka samman aur seva karna humara sarva pratham kartva hai kintu jara unke bare mein bhi sochiye jo anaath hain, jinke mata-pita nahi hai, wo kise apna Ishwar ka prateek samjhe, sachh to ye hai Mata-Pita humare liye Ishwar ka prateek isliye hai jo na kewal hume janm dete hai balki humara paalan poshan karte hain, isliye uss anaath baalak ka baalan poshan karne wala jo bhi vyakti hoga wo hi uska Ishwariye prateek hoga, sirf janm dene wala hi humara Ishwariye prateek nhi ho sakta, ye wo hi ho sakta hai jo humara paalan poshan kar duniya mein ab tak jeevit rakhta hai, uss Parmeshwar ne hume janm dene aur jeevit rakhne k liye na sirt mata-pita ko diya apitu wo saath bhi prakrati ke roop mein diye taaki hum jahan tak sambhav ho behtar zinagi vyateet kar sake, ussi prakaar ek anaath baalak jiske janm dene wale mata-pita ka kuch pata to nahi kintu usse ab tak jeevit rakhne wale saadhan avam saadhya hi uske liye Ishwar aur uska prateek hain,
ye prteek kewal maanav ke liye hi nhi hote, pashu-pakshi bhi Ishwar ke prateek ke roop mein apne maalik ko maante hain kyon unse unhe wo sab prapt hota hai jo Ishwar se samast praniyon ko prapt hota hai, kintu jo pashu-pakshi kisi maanav ke adheen nahi hai wo kise apna Ishawriye prateek kahenge, wo bhi usse hi Ishariye prateek kahenge jiske wazah se wo ab tak jeevit hain.....

कोई टिप्पणी नहीं: