शुक्रवार, 19 अप्रैल 2013

kya khata hui thi mujhse........(A Real Story)




kya khata hui thi mujhse........

Note: ye kahani ek sachhi ghatna par aadharit hai, iss kahani k paatron k naam avam sthaan ko kisi vishesh kaaran ki wazah se hume badlna pada hai, parantu isse iss kahani ki sachhai mein koi bhi fark nhi aaya hai, kahani k paatron k naam avam sthaan ko humein yaha badalna pada iske liye paathak kripya humein maaf kare kintu kahani ko pad kar iska lutf avshaya uthaaye, dhanyawaad......




san 1969, apni zindagi ki aakhiri saanse ginti hui 70 saal ki Bhanwi ko apni zindagi k aaj wo sab pal yaad aa rahe the jinhe waqt aur haalat ne unhe yaad karne ka mauka bhi shayad nhi diya tha,kanpur k nazdik chhota sa kasba hai jiska naam hai unnav, unnav mein paida hui Bhanwi  apne ghar mein sab ki laadli sabki chaheti thi, tezz swabhaav tha uska, aur issi tez swabhaav ki wazah se hi uske ghar wale uski shaadi ki chinta mein doobe rahte the, wo daur kuch aur tha jahan ladkiyon ko school bhejna aur unhe padana ek gunaha samjha jata tha dharm k khilaaf mana jata tha, par bhanwi iska virodh karti thi, wo aage padna chahti thi, 1911 Bhanwi k pita ne uska rishta Hardoi jile mein apni hi jaati k kisi ladke se tay kar diya, ladka railway mein naukari karta tha, theek thaak paise kamata tha, jab Bhanwi ki maa ko pata chala ki unki beti ki shaadi Hardoi mein tay ho gayi hai, uski maa ne apne pati se shikaayat ki " kyon aap meri laadli ki shaadi itnee door kara rahe ho, kaanpur k saare ladke mar gaye hai kya, abhi humari beti ki umar hi kya hai, jara tasalli se dhoondte to koi achha sa ghar war yaha hi mil jata, itnee door wo chali jaygi to bhala hum usse kaise mil paynge, hum to taras hi jaynge usko dekhne k liye",  Bhanwi k pita ne kaha "tum to janti hi ho humari beti ko, wo kaafi tezz tarrar hai, yaha par maine sab jagah ja kar dekh liya, sabhi k yaha apni beti k rishte ki baat chala kar dekh li, par sabhi ne ye keh kar mana kar diya ki humari beti unke yaha ki bahu banne k layak nahi hai, na to usme humare riti riwazon k liye izzat hai aur na koi haya, wo alhad hai, yaha se waha ghoomti rahit hai, aur mohalle ki sabhi ladkiyon ko bhadkane ka kam karti hai, unhe padai k liye usksati hai, school jane k liye kahti hai, uski inhi harkato se kanpur mein uski shaadi nhi tay ho payi,"  bhanwi ki ma ne kaha " aap jahan uska rishta tay kar k aaye hai kya unhe nahi pata ki humari beti kaisi hai, kya apne unse chhipya iss baat ko," Bhanwi k pita ne kaha "main jhoot bol kar apni beti ki shaadi nahi kar sakta, maine ladke walon ko sab kuch sachh sachh bata diya hai, aur unhe iss baat se koi fark nhi padta, wo khud ladkiyon ki shikhsa k paksh mein hai," ye sun kar ma bahut khush hui Bhanwi ki, bahut jald uski shaadi ho gayi, shaadi k baad sab kuch badal gaya Bhanwi ki zindagi mein jaise, uske pita ne kaha tha ki uske sasural mein ladkiyon ki shikha par koi pratiband nhi hai par yaha aa kar usne dekha ki uske sasural walon mein aur hindustaniyon ki soch mein koi fark nhi hai, wo bas baahar se kahte hai ki ladkion ko padana chahiye, unhe ladkon k barabar adhikaar dena chahiye par sachhai to ye hai ki sachh iske ek dam ulta hai, shaadi k 2 saal baad bhanwi ne ek ladki ko janm diya, ladki ko dekh kar uski saas ne sabse pahle usse tana maran shuru kar diya, bachhi k janm k baad na to uski aur na uske bachhe ki theek se uske sasural walon ne dekhbhal  ki aur sirf 6 mahine mein hi Bhanwi ki bachhi ki maut ho gayi, iss ghatna k baad kafi saal tak Bhanwi kisi bachhe ko jan na de saki to uske sasural wale usse bhanjh bol kar usse pratadit karne lage, kisi bhi shubh kaam mein uska jana pratibandhit tha, usse aise bahishkrit kar diya gaya jaise wo koi achhoot ho, par Bhanwi k pati usse behad pyaar karte the, wo aksar kaam k silsile mein ghar se baahar hi rahate the isliye ghar k halaat k bare mein unhe kuch pata nhi tha, wo aadhunik soch rakhne wale insaan the, ek raat Bhanwi se hui kisi galti k kaaran usse ek kamre mein band kar diya gaya tha aur khaane pine tak ko kuch bhi nhi diya gaya, kismat se uske pati ussi din apne ghar pahuche, waha unhone apni patni ki ye halat dekhi aur turant usse waha se le kar Palwal jahan wo naukri kar rahe the waha le aaye,


     Palwal mein Bhanwi ne 1918 mein ek beti ko janm diya, aur 1920 mein ek bete ko, par Bhanwi k dukhon ka ant kahan hone wala tha, bete k janm k 1 saal baad 2 judwa bachhon ko usne janm diya par wo bachhe kuch hi din jinda rahe fir kisi agyaat bimari se unki maut ho gayi, Bhanwi toot gayi, par uske pati ne usse sambhala, 1923 mein uske pati usse avam donon bachhon ko mumbai le aaye, yaha k mahol ne Bhanwi k gam kuch had tak kam kar diya, apni beti ko school mein dikhila dila diya, sach kuch uski zindagi mein achha chalne laga par ek din achanak ek aisi khabar usse mili jisne usse hila kar rakh diya.......


Bhanwi ko pata chala ki uske pati k pett mein tumer(ghaaw) hai jiska koi ilaaz nahi hai aur uske pati kuch hi dinon k mehmaan hai, Bhanwi k perro tale to jaise zameen hi khisak gayi, wo sochne lagi uske pati k baad uske donon bachhon aur uska kya hoga, ye samaaj ek vidhwa ko kaisi neechi nazar se dekhta hai, log ek vidhwa ko apne pati ko khane wali ek daayan samajhte hai, wo sochne lagi uske pati k baad uski beti ki shaadi bhi nhi ho paygi, log uske beti ko abhaagi kahenge,

Bhanwi k pati ne uski chinta samajh li thi, isiliye wo ek din Palwal chale gaye bina apne patni se kuch kahe ki wo kyon aur kis se milne Palwal ja rahe hain, jab wapas aaye to unhone Bhanwi ko bataya ki wo apni beti ki shaadi tay kar aaye hain apne dost k bete k saath, ladka abhi padta hai par wo log achhe khaase paise wale hain, unke koi beti nahi hai, wo apni bahu ko beti ki tarah rakhnge, sir 2 bhai hai wo, chhota bhai to abhi bahut chhota hai par jis ladke se unhone rishta tay kiya hai wo college mein padta hai, pad likh kar usse bhi achhi naukri mil jaygi, humari beti waha khush rahegi, Bhanwi bhi Bhaari mann se iss rishte k liye taiyaar ho gayi, wo nhi chahti thi ki uske beti ki abhi shaadi ho kyon ki uski ummar abhi sirf 8 saal thi par jaise haalat uski zindagi mein bane the uss waqt wo mazboor thi, bahut jald usne apni beti ki shaadi kar di, shadi k baad uski beti Agra chali gayi, kyon ki uske sasur ka tabadla Agra ko ho gaya tha,

shadi k baad jab Bhanwi ki Beti pahli baar  usse milne aayi to Bhanwi ne uske kuch gahne choron k darr se apne paas rakh liye aur kaha beti abhi tum chhoti ho, ye gahne tumhe abhi nahi pahanne chahiye, jab tum badi ho jaogi tab pahnna, tumhare sasur jab yaha tumhe lene aaynge tab main ye gahne unhe de dungi aur kahungi ki jab tak tum badi na ho jaao tab tak tumhe jyada gahane na dein pahnne k liye, par kismat se Bhanwi ki beti ko lene uske sasur ki jagah unka damad aaya, aur damad k aane ki khushi mein Bhanwi ne unke aane par unke swagat k liye jee jaan laga di par ek galti usse jo hui uski saza usne zindagi bhar bhugti....


apni beti ko vida karti waqt wo apni beti k gahne wapas karna bhool gayi, jab uskee beti wapas sasural pahuchi to uski saas ne uski maa par apni beti k gahne chori karne ka ilzaam laga diya aur iske saath hi kaha ki aaj k baad wo apni ma se kabhi nhi milegi, Bhanwi ne bahut baar apni beti se milne ki koshish ki, uske sasural walon se mafi mangi par unhone uski ek na suni, 

  fir ek din uske pati ki tabiyat achhanak bahut kharab ho gayi, wo unhe ilaaz k liye Jhansi le jane wali thi, wo chahti thi ek baar uske pati apni beti ko dekh le kyon ki ab k baad wo usse kabhi nhi dekh paynge, aur wo bhi wapas kabhi uss shahar mein nhi aaygi jahan uski beti rahti hai, kyon ki wo nhi chahti thi ki uski wazah se uske beti ki shadi shuda zindagi mein koi pareshaani aaye, wo aakhiri baar apni beti k ghar pahuchi, apne pati ko saath lana chahti thi par unki tabiyat atyant kharab hone ki wazah se unhe na la saki, par apne beti ko dekhne ki aakhiri baar uski laalsa usse yaha tak kheech laayi, iske saath hi jo uske maathe par kalank tha beti k gahne chori karne ka wo bhi dhona chahti thi, wo apni beti k gahne saath laayi par apni beti k sasural mein jane ki himmat na juta saki, par tabi usne dekha ki uski beti khidki k paas beth kar apni baal sanwaar rahi hai, wo uske paas pahuchi, uski beti khushi se chillana chahti thi par Bhanwi ne ishaare se mana kar diya, bas apni beti ko wo ji bhar k  dekhna chahti thi, uske liye jo wo tohfe laayi thi usse dena chahti thi par ye wo pal tha jo Bhanwi chahti thi kaash ye pal yahi thahar jaaye par waqt kahan thehrta hai, itne mein piche se uski beti Bhoomi ki saas ki aawaz aayi "bahu badi derr lag gayi tuje baal banate huye," ye kah kar wo andar aane lagi, Bhanwi samajh gayi agar wo andar aayi to anarth ho jayga kyon ki uski beti Bhoomi ki saas nhi chahti ki wo apni ma se kisi bhi tarah ka koi sampark rakhe, isliye jaldi mein jo kuch apni beti k liye uphaar wo laayi thi wahi uss khidki se usse dene lagi par jaise hi wo uske gahane usse lautaane lagi uski saas anadar aa gayi aur Bhanwi darr k mare chhip gayi aur sabhi gahne apni beti ko nhi lauta saki, bhari mann se usse apni beti se door uske gahne churane k kalank k saath hona pada....
   

   parantu iske baad bhi Bhanwi k dukhon ka ant kahan hone wala tha, Jhansi mein ilaaz k dauran uske pati ki maut ho gayi, wo toot kar bikhar gayi, koi sahara nhi dikh raha tha usse, apne bête k saath wo bas Jhansi ki galiyon pagalon jaisi ghoomti thi, tabhi ek din uss par uski beti Bhoomi k chacha sasur Hari Prasad ki nazar uss par padi, wo Jhansi mein hi naukri karte the aur unki abhi tak shaadi bhi nhi hui thi, wo Bhanwi ko apne ghar le aaye, unhone Bhanwi k saamne shaadi ka prastaav rakha, Bhanwi iske liye taiyaar nahi hui, usne kaha “ aapse meri shaadi kaise ho sakti hai, aap mere damad k sage chacha hai, agar humari shaadi hui to log kya kahenge, ye samaj hume chain se jeene nhi dega, ye sambhav nahi hai ki humari shadi ho, log kahenge samdhi ne samdhin se shaadi kar li, sabhi hume neechi nazaron se dekhnege, aap ye baat bhool jaiye ki humari shaadi ho sakti hai,” Hari Prasad ji bole “ kis samaj ki tum baat kar rahi ho, jo ek vidhwa ko niche nazar se dekhta hai, usse daayan keh kar bulata hai, har tarah se ye samaj usse dabata hai, shoshan karta hai, ek akeli aurat ka sab faayada uthaana chahte hain, kis samaj ki tumhe parwah hai, rahi baat tumhari beti k sasural walo ki, wo waise bhi  tumhe galat hi samajte hai, tum par aarop lagate hai apne beti k gahne churane ka, wo tumhe kabhi maaf nahi karenge aur kar bhi diya to kya hua, tumhare bête ko to wo apne paas nhi rakhenge, tumhe ab apne aur apne bête k bare mein sochna chahiye, main yakin dilate hoon ki tumhare bête ko main apne bête ki tarah hi rakhunga, behatar parwarish dunga avam pita ka pyaar dunga, shayad maine abhi tak shaadi isliye nhi ki kyon ki tum hi meri jeevan saathi honi thi, tum mujhse shaadi k liye haan keh do main poori duniya se lad jaunga, waise bhi ab pariwartan ka daur hai, vidhwa vivah avam prem vivah ko kanoon mazoori de chuka hai, hum shaadi k baad iss shehar se door kisi aur shehar mein apni chhoti c duniya basa lenge jahan koi hume nhi jaanta hoga, waha koi ye bolna wala nhi hoga ki samdhi ne samdhan se shaadi ki hai, aur waha hum sukoon se apni zindagi jee sakenge,” Hari ki baat sun kar Bhanwi apni doosri shaadi k liye maan gayi, waise bhi usse kisi sahare ki jarurat thi jo usse Hari k roop mein mil raha tha, usse uski baate sachhi lagne lagi thi, iske saath hi uske bête k bhavishya ka bhi sawal tha, unn donon ne Mandir mein vivah kar liye avam humesha k liye Meeruth aa gaye…


sab kuch theek chal raha tha, Bhanwi Hari k saath bahut khush thi, uske bête Abhijit ko bhi pita ka pyaar avam achhi parwarich mil rahi thi,

   Meeruth mein Bhanwi ne 2 betiyon ko janm diya, sab kuch achha chal raha tha, par achaanak  aakasmik hi uske pati Hari ki maut ho gayi, Bhanwi to jaise toot kar bikhar c gayi, kuch din baad uske bête ko uske pita Hari ki jagah naukri mil gayi,

   Bête ko naukri mil jaane k baad Bhanwi ne socha ab iski shaadi kar deni chahiye, usne bade dhoom dhaam se apne iklaute bête ki shaadi kar di, par kuch din baad hi uski bahu ki kisi lailaaz bimari k kaaran maut ho gayi,

   Bhanwi apne bête ki doosri shaadi karna chahti thi par usne mana kar diya, usne kaha ki jab tak uski behno ki shaadi nhi ho jaati ab wo doosri shaadi nhi karega, kuch saalon baad uske beti Shakuntla ki shaadi ek ache ghar mein tay ho gayi, uski shaadi uske sautele bhai ne badi dhoom dhaam se karai, kuch din to theek raha par ek din Shakuntla k sasural wale usse uske maayke chhod gaye, unhone kaha “pahle kyon nhi bataya tumne ki iske ma ek vidhwa aurat thi aur jisne apne samdhi k saath doosra vivah kiya tha, itne neech khaandan ki ladki ko hum apne ghar ki bahu k roop mein nhi sweekar kar sakte, rakho isse apne paas aur hume baksho,” Bhanwi par to jaise dukhon k baadal hi fat gaye ho , uski beti ne kaha “ ma jo aapne kiya uskee saza to hume mil rahi hai, aapne aisa kyon kiya ma,” uske bhai ne uski doosri shaadi ki baat kahi to Shakuntla ne mana kar diya aur humesha k liye apne bhai k paas rahne ki khwaaish jatai, uska bhai maan gaya…


   Kuch saal baad Bhanwi ki chhoti beti ka rishta tay ho gaya, uska jaha rishta tay hua waha Bhanwi ne sab kuch sach sach bata diya tha ki ye uski doosri shaadi k baad hui santan hai avam uski doosri shaadi uski badi beti k chacha sasur k saath hui thi, par ladke walon ko ladki itnee pasand aayi ki unhe koi fark hi nhi pada ki uske ma ki doosri shaadi hui hai ya nhi, wo doosri shaadi ki santan hai ya nahi, Bhanwi ki sabse chhoti beti ki shadi sadharan tareeke se hui, sab kuch theek raha, kuch saal baad Bhanwi ne apne bête ki bhi doosri shaadi ki baat ki aur kaha ki ab to bahne ki shaadi ho chuki hai ab apne bare mein soch, wo taiyaar ho gaya, achhi c ladki se uskee bhi shaadi ho gayi…

   Par shayad naseeb ko Bhanwi k yaha khushiyon ka aana pasand na tha, kuch mahne baad uski doosri bahu ki bhi maut ho gayi,

  Bhanwi bhi ab apni kismat se haar chuki thi, wo marna chahti thi par maut bhi usse apne paas nhi bula rahi thi, waqt ka pahiya chalta raha, ek din fir se khushi ne uske ghar ka darwaza khatkataya, uske bête k liye ek rishta aaya, sab kuch jante huye bhi ladki wale  uske bête se shaadi karna chahte the, ghar mein khushi ka mahol ban gaya, Bhanwi k bête ki teesri saadi ho gayi, bahu bahut achhi thi, sabka bada khyaal rakhti thi, shaadi k kuch saal baad jis khushkhabri ka intzaar tha sabko usne darwaze pe dastak di, Bhanwi dadi banne wali thi, poora ghar khushi se jhoom utha, ek nana munna iss ghar mein aane wala hai jo iss ghar mein ghooma karega, ye soch kar Bhanwi khushi se jhoom rahi thi..

   Par naseeb se kaun lad saka hai aaj tak bhala, jis raat Bhanwi ek pote ki Dadi bani ussi raat uski bahu ka kisi anjaan kaaran se dehaant ho gaya, logon ne sara dosh Bhanwi par hi lagaya, kaha ussi ne kuch kar diya apni bahu ko, abhi iss gam se  wo ubar bhi nhi payi thi ki uski chhoti beti ko bhi uske sasural wale uske yaha chhod gaye, unhone kaha ki tumhare khandan ki koi izzat nhi hai, tumne apne bête ki 3 shadiya karai aur teeno bahuon ko mar dala, tumne apne samdhi se shaadi ki, iss baat par log hume taana marte hai, hum unki aur nhi sun sakte, isliye apni beti ko aap hi sambhaliye,

   Jis waqt wo log Bhanwi ki beti ko uske paas chhod kar gaye wo ma banne wali thi, kuch din baad usne ek beti ko janm diya, uski sasural se dekhne k liye koi nhi aaya sivaye uske pati k, wo apni patni k saath avashya tha par apne pariwaar k dabaab k kaaran usne b apni patni ko apne saath rakhne mein asmarthata jatai,

    Bhanwi k bête ne apni sauteli behano ko apne saath rakhne ka fesla kar liya tha par ek shart par, aur  wo ye rakhi ki wo dono uske bête ki aise hi dekhbaal karengi jaise ek ma karti hai, unki iss ghar mein jagah sirf ek naukrani ki hi hogi,  Bhanwi ki betiya iss shart par maan gayi kyon ki iske siwa unke paas aur koi raasta bhi nhi tha aur na koi sahara tha, aur iss tarah unhone apne bhai k ghar par ek naukrani ban kar zindagi bitane ka fesla kar liya..


Zindgai ki aakhiri saanse ginti hui Bhanwi aaj bas ye soch rahi thi aakhir kya gunah hua tha mujhse, aakhir kis baat ki mili ye saza mujhe, meri betiyon ko ek naukrani ka jeevan bitana pad raha hai, badi beti ko to pata bhi nahi ki uski ma aaj aakhiri saanse gin rahi hai, aakhir jeevan mein maine kya galti kar di jiski saza maine zindagi bhar bhogi aur aaj mere bachhe bhog rahe hai, kya meri wazah se hi mere bachhon ki khushiyon mein grahan laga raha, ye hi sochte sochte Bhanwi maut ki godd mein sada k liye so gayi aur ye sawal chhod gayi ki aakhir kya khata hui thi mujhse……………

3 टिप्‍पणियां:

Shalini kaushik ने कहा…

archu ji aapki ye prastuti bahut hi bhavpoorn hai kintu aap janti hain ki ye blog woman about man hai aur yahan aapne bhavi ke jeevan ka hi jikr kiya hai aap aage se yahan dhyan de aur purushon ke bare me nari ke hi vichar ya anubhav batayen .aur roman kee jagah hindi likhen blog par ''a'' par click kar aapkee prastutiyon se sabhi jud payenge .aabhar

तेजवानी गिरधर ने कहा…

बहुत अच्छी शुरुआत है

Macks ने कहा…

thanks shalini ji and tejwani ji